Thursday, September 5, 2013

Tasveer!



Tasveer



Ek tasveer aankhon mein chupaye firta hun teri..,
Ki kahin koi sapno se bhi tujhey chura na ley jaye!
Ye chaahat apney seeney mein chupaye rakhta hun mai meri,
Ki kahin tujhey apney faisley pe yakeen na reh paye.



Tujhey wo khushiyan de purey kayenaat ki,
Jinse shayad tu mere sang rehke mehroom na reh jae!
Meri chaahat hai ye ki wo tujhey pyaar de itna,
Ki ghalib ki gazlon mein tera naam bhi shumaar hojae!



Un paati ka,un patton ka jo tujhe dene ke liye likhey they,
Wo anchuwey se kaagazaat jo apna rang kho chukey they!
Aaj baith-key unko in angaaron ki lapton se mila raha hun,
Apney sapnon ke gharondey ko aag ki bhenth chadha raha hun.



Bas itni si guzaarish zarur karunga mai tujhse,
Un sapno ke kuch aansh na lena tu mujhse!
Kyunki yahi mere jeeney ka eklauta sahara hai,
Isliye teri tasveer ko aankhon mein utaara.

No comments:

Post a Comment